jis waqt us ki chashm se hum chaar ho chale goya ki do-jahan se khabar-dar ho chale aaram-o-sabr-o-tab-o-tawan hosh kya qarar iti mataa de ke tujhe khwar ho chale kuchh qadr jaan-o-dil ko agar ho to le wale kahne ko hum bhi us ke kharidar ho chale go jal ke khak ho gae ya khush rahe to kya aae the is jahan mein be-yar ho chale malum ye hua ki gharaz dil se thi jo ab le dil ko wuhin yar se aghyar ho chale aamad mein jo maza hai so aawurd mein nahin kahne ko hum bhi sahib-e-ashaar ho chale aanjhu nahin mizha pe 'ali' ye ba-qaul-e-tarz the dil ke aable so numudar ho chale