kahin hue hain nigah se qarar aankhon mein kare hai kyon ye tu dar-o-madar aankhon mein mata-e-sabr-upar barq pad gai ai dil hua hai jab sate wo chashm-chaar aankhon mein na jaan mujh ko tu muflis ba-zahir ai jaanan bhare hain moti mere be-shumar aankhon mein jab us ne pi mai-e-gul-rang jam bhar bhar kar main kya kahun hui zor hi bahaar aankhon mein nigah-e-lutf na ki unne kya hua ai 'ali' ki hon hain baaten to aisi hazar aankhon mein