jise dekho darinda sa lage hai ye sara shahr to sahra lage hai na chhat apni na ye diwar apni na dar apna na ghar apna lage hai khuda hi jaanta hai haal us ka wo kya hai aur mujh ko kya lage hai koi to baat hai us aadmi mein bura ho kar bhi jo achchha lage hai na jaane duriyan kyon badh gai hain jo apna tha paraya sa lage hai sharad ki purnima mein taj ka husn bada dilkash bahut pyara lage hai hadis-e-dil sunate kyon nahin ab ye qissa kya fasana sa lage hai wo jaane sochta rahta hai kya kya use ye duniya jaane kya lage hai