jise hai zoam ki us ne hawa ke par bandhe agar hai dam to hamari dua ke par bandhe uthae hath azab-o-bala ke par bandhe ye kis dua ne kisi baddua ke par bandhe hui na aaj bhi tauba ke tutne ki sabil khuda ne aaj bhi kali ghata ke par bandhe koi to ho jo use rok le tabahi se koi to ho jo dil-e-mubtala ke par bandhe hamari soch ki parwaz rokna tha muhaal hamin ne jaan key bazi laga ke par bandhe kai dinon se kisi ka salam hai na payam mere adu key bazi laga ke par bandhe shifa key aas lagae mariz baitha hai dua ko hath uthae dawa ke par bandhe 'hafiz' maut se luqman bach sake kab tak bade hakim the kab tak qaza ke par bandhe