aap chahen to kya nahin hoga muttasil dusra nahin hoga lo talashi meri ki ab mujh mein dil magar ba-sada nahin hoga hai juda rangat-e-hina bhi to aap sa par juda nahin hoga apni kashti ke pasban ho tum ja-ba-ja na-khuda nahin hoga jaan luta kar ye jaan hai zinda khub hai alwidaa nahin hoga wahm-e-zist-o-sawal-e-mehr-o-wafa tujh se insan ada nahin hoga tum mere pas gar nahin hoge aap 'ahsan' mera nahin hoga