jise hum kah saken apna koi aisa nahin milta tere hamnam milte hain koi tujh sa nahin milta mohabbat ke safar mein hain musafir hum musafir tum hamein manzil nahin milti tumhein rasta nahin milta kisi ki rukhsati ke baad tanhai ke aalam mein ghamon ka sath hota hai koi tanha nahin milta samajh lena koi maqsad hai us ki chaplusi mein jhuka kar sar koi ikhlas se itna nahin milta jidhar dekho udhar sach bolne wale hi milte hain tajjub hai koi is daur mein jhuta nahin milta talab hai raushni ki to jalao khud diya 'rahi' bujhane tishnagi pyase ki to dariya nahin milta