jise mahbub khud-dari bahut hai use jine mein dushwari bahut hai yunhi ujda hua rahne do mujh ko sanwarna dil pe ab bhaari bahut hai na jae kucha-e-mehr-o-wafa mein wo jis ko zindagi pyari bahut hai bahut tadpa liya ab aa bhi jao tabiat dard se bhaari bahut hai chal ai dil ek nai duniya basaen yahan nafrat ki bimari bahut hai kisi ko kya banaen jaan apni hamein khud se bhi be-zari bahut hai tula hai sach kalami par wafa dil ki shanon par ye sar bhaari bahut hai