jise na meri udasi ka kuchh khayal aaya main us ke husn pe ek roz khak dal aaya ye ishq khub raha bawajud milne ke na darmiyan kabhi lamha-e-visal aaya ishaara karne lage hain bhanwar ke hath hamein khosha ki phir dil-dariya mein ishtial aaya murawwaton ke samar daghdar hone lage mohabbaton ke shajar tujh pe kya zawal aaya hasin shakl ko dekha khuda ko yaad kiya kisi gunah ka dil mein kahan khayal aaya khuda bachae tasawwuf-gazida logon se koi jo sher bhala sun liya to haal aaya