qadam qadam pe kisi imtihan ki zad mein hai zamin ab bhi kahin aasman ki zad mein hai har ek gam ulajhta hun apne aap se main wo tir hun jo khud apni kaman ki zad mein hai wo bahr hun jo khud apne kinare chatta hai wo lahar hun ki jo sail-e-rawan ki zad mein hai main apni zat pe israr kar raha hun magar yaqin ka khel musalsal guman ki zad mein hai mere wajud ke andar utarta jata hai hai koi zahr jo meri zaban ki zad mein hai lagi hui hai nazar aane wale manzar par magar ye dil ki abhi raftagan ki zad mein hai yahi nahin ki faqat rizq-e-khwab band hua gada-e-ku-e-hunar bhi sagan ki zad mein hai ufuq ufuq jo mere nur ka ghubar uda ye kaenat mere khak-dan ki zad mein hai