jise nazron ki surat apni aankhon mein basaya tha

jise nazron ki surat apni aankhon mein basaya tha
usi ek khwab ne har mod par mujh ko rulaya tha

tere ek qahqahe ne jis ko ek pal mein gira dala
gharaunda wo to main ne apne ashkon se banaya tha

khushi se udte udte aa gae is shakh par bhanwre
jahan kanton ne us ki maut ka saman sajaya tha

sitara ye zamin bhi aasman ka ek tukda hai
jise roz-e-azal shayad khuda ne aazmaya tha

mere honton pe 'bina' muskurahat yun machalti thi
ki main ne hasraton ko apne sheron mein chhupaya tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close