majburiyon mein bant le jo dard kaun hai palkon se jhade gul pe jami gard kaun hai shoalon pe nange panw chala ja raha hai jo dekho wo burdbar jawan-mard kaun hai sahra sulag raha ho to pani bujhaega pani ki aag ko jo kare sard kaun hai in mahwashon ki bhid mein khamosh ek taraf baitha hai jo chhupae rukh-e-zard kaun hai bhule se aa gaya hun farishton ke des mein kis se pata karun ki yahan fard kaun hai yarab mujhe chadha de kisi hadse ki bhent dekhun ki mera shahr mein hamdard kaun hai