jise padi thi diye se diya jalane ki use bhi lag gai aakhir hawa zamane ki qadam ba-khak-e-dayar-e-gharib ho jae ki lete jaen duaen gharib-khane ki qubul kar liye main ne tamam-tar ilzam ye ek aakhiri koshish thi ghar bachane ki hum aadmi hain khata-kar kya zarurat thi phir aazmae hue log aazmane ki sukut-e-gumbad-e-shahana mein khalal aaya suni hai gunj sakhawat ke taziyane ki waba chali hai koi shahr mein to sab laute suni gai mere viran aashiyane ki main apne chehre ki chunta hun kirchiyan 'shahid' saza mili hai mujhe aaina banane ki