dil ki tauhin na kar dard sunane wale is zamane mein ziyaada hain zamane wale is gali se bhi kabhi khol ke zulfon ko guzar sar pe rakkhe hue khushbu ke khazane wale aankh ta۔bir ki dahliz pe rakkhi hui hai khwab bhi dekhe hain nindon ko udane wale rahat-e-jaan hai teri sans ki khushbu jaanan phunk mantar ye mujhe hosh mein lane wale andhi aankhon pe tu mat bandh hawas ki patti tod kar khwab nae khwab dikhane wale tu mera tha to tera nam sahaara bhi tha chhod kar mujh ko wajud apna ganwane wale waqt jiddat ke taaqub mein kahan le aaya din sikhlaenge ab nachne gane wale bin tere sans ka ehsan jatata hua jism chhodne wala hun ai chhod ke jaane wale aaj bhi mere ladakpan ko tu dekhe 'shahid' kash laut aaen mere dost purane wale