jise sunaoge pahle hi sun chuka hoga mujhe yaqin hai ye aisa waqia hoga yahan to ab bhi hain tanhaiyan jawab-talab wo pahle-pahl yahan kis tarah raha hoga jo aaj tak hua kuchh kuchh samajh mein aata hai koi batae yahan is ke baad kya hoga khala mein paenge tara jo dur tak niklen phir is ke baad bahut dur tak khala hoga samajhta hun main agar sab alamaten us ki to phir wo meri tarah se hi sochta hoga qadim kar gai khwahish jadid hone ki kise khabar thi yahan tak wo daera hoga shikasta-pai se hoti hain bastiyan aabaad jo ab qabila hua pahle qafila hoga pasand hongi abhi tak kahaniyan us ko wo mere jaisa koi ab bhi dhundta hoga faza zamin ki thi itni ajnabi ki 'malal' sitara-war kahin rakh ho gaya hoga