palkon pe kuchh charagh farozan hue to hain is zindagi ke marhale aasan hue to hain meri jabin ne jin ko nawaza tha kal talak wo zarre aaj mehr-e-darakhshan hue to hain nadim bhi honge apni jafaon pe ek din wo kam-nigahiyon pe pashiman hue to hain sham-e-wafa jalate hain zulmat-kadon mein jo wo log is jahan mein pareshan hue to hain kis mauj-e-khun se guzre hain 'mumtaz' kya kahen kahne ko aaj hum bhi ghazal-khwan hue to hain