jism diwar hai diwar mein dar karna hai ruh ek ghaar hai is ghaar mein ghar karna hai ek hi qatra to hai ashk-e-nadamat ka bahut kaun se dasht-o-bayaban ko tar karna hai jalte rahna bhi hai diwar pe fanus ke bin be-zerah marka-e-baad bhi sar karna hai khak ho jaane pe ai khak-basar kyun ho ba-zid kya tumhein dosh-e-hawa par bhi safar karna hai ab in aankhon mein wo dariya kahan wo chashme kahan chand qatre hain jinhen lal-o-gohar karna hai fath-e-gulzar mubarak ho magar yaad rahe abhi na-dida bayaban bhi sar karna hai kuchh to hai rang sa ehsas ke parde mein nihan jis ko manzar ki tarah waqf-e-nazar karna hai gul-e-nau-khez ko tesha bhi bana de ya-rab sang-e-lab-basta ke sine mein asar karna hai ek neze pe lagane hain kai mewa-e-sar ek tahni ko samar-dar shajar karna hai