wahan kaise koi diya jale jahan dur tak ye hawa na ho unhen haal-e-dil na sunaiye jinhen dard-e-dil ka pata na ho hon ajab tarah ki shikayaten hon ajab tarah ki inayaten tujhe mujh se shikwe hazar hon mujhe tujh se koi gila na ho koi aisa sher bhi de khuda jo teri ata ho teri ata kabhi jaisa main ne kaha na ho kabhi jaisa main ne suna na ho na diye ka hai na hawa ka hai yahan jo bhi kuchh hai khuda ka hai yahan aisa koi diya nahin jo jala ho aur wo bujha na ho main mariz-e-ishq hun chaaragar tu hai dard-e-ishq se be-khabar ye tadap hi us ka ilaj hai ye tadap na ho to shifa na ho