jism hi pamal ho jae to sar kya kijiye jaan to hum ko bhi pyari hai magar kya kijiye dekhte rahiye sahar ke khwab jhute hi sahi mashghala ye bhi na ho to raat bhar kya kijiye guftugu se rafta rafta khamushi tak aa gae aur harf-e-muddaa ko mukhtasar kya kijiye har nazar turfa tamasha har qadam manzil nai sair se fursat nahin milti safar kya kijiye kaun jaane kitne bazu nazr-e-tufan ho gae phul phal giniye shumar-e-baal-o-par kya kijiye jazba-e-abaad-kari laeq-e-tahsin magar pattharon ke shahr mein shishon ke ghar kya kijiye sakht-jaani apni qismat zang khanjar ka nasib kashmakash mein jaan hai 'afzal' magar kya kijiye