har aaine mein badan apna be-libas hua main apne zakhm dikha kar bahut udas hua jo rang bhar do usi rang mein nazar aae ye zindagi na hui kanch ka gilas hua main kohsar pe bahta hua wo jharna hun jo aaj tak na kisi ke labon ki pyas hua qarib hum hi na jab ho sake to kya hasil makan donon ka har-chand pas pas hua kuchh is ada se mila aaj mujh se wo 'shahid' ki mujh ko khud pe kisi aur ka qayas hua