jism jab mahw-e-suKHan hon shab-e-KHamoshi se

jism jab mahw-e-sukhan hon shab-e-khamoshi se
lafz to dete hain garmi-e-ham-aghoshi se

sakht ahkaam-e-mohabbat hain ki dauran-e-visal
lafz aage na badhen sarhad-e-sargoshi se

nashsha badhta hai hamein der mein mai-noshi ke baad
us ki gunjaan khamoshi ki nawa-noshi se

dekhne hon kabhi mani bhi to phir khak-e-visal
ek do lafz jala deti hai khamoshi se

jhada-pochha tha abhi subh ko hi khana-e-yaad
sham tak at gaya phir gard-e-faramoshi se

shahr ka shor pahunchta hi nahin ab mujh tak
aafiyat mein hun mohabbat ki giran-goshi se

aable panw ke pa-posh hue aakhir-kar
umr-bhar jaan bachai thi jo pa-poshi se

log banwane lage waise hi zakhmon ke libas
tarz-e-nau chal gai 'ehsas' ki khush-poshi se

aatish-e-'farhat'-o-'asma' ne jalae do charagh
ek binish se jala ek jala yushi se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close