kamron mein chhupne ke din hain aur na barahana raaten hain

kamron mein chhupne ke din hain aur na barahana raaten hain
ab aapas mein karne wali aur bahut si baaten hain

lazzat aur yaktai ka ek jhonka aaya bit gaya
phir se apne apne dukh hain apni apni zaten hain

qurbat ki lazzat jaise barish mein patthar rakkha ho
andar sahra jaisa mausam aur bahar barsaten hain

mom sa nazuk paikar us ka hath lage aur ghul jae
mere jism mein jalne wali khwahish ki saughaten hain

aaj mile to yun lagta hai aaj ke baad nahin milna
sans bhi lene ki nahin fursat ukhdi ukhdi baaten hain

aakhir koi padh hi lega ruswai ki tahriren
ye mere chehre ki lakiren kuchh jiten kuchh maten hain

ab jin ko takhliq ke fan ka dawa hai 'shahzad' bahut
tute hue qalam hain un ke sukhi hui dawaten hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close