jism ke is khanDar ki tanhai

jism ke is khandar ki tanhai
aur ye raat bhar ki tanhai

ek taswir bhi nahin ghar mein
uf ye diwar-o-dar ki tanhai

koi aahat na koi saya hai
har qadam hai safar ki tanhai

ek aalam ko hai samete hue
meri fikr-e-nazar ki tanhai

meri sanson mein bas gai jaise
jaan-o-dil ki jigar ki tanhai

kitni bezar hai ye mausam se
samar-awar shajar ki tanhai

dekhta hai nikal ke suraj roz
ye mere baam-o-dar ki tanhai

raat din rote hai dar-o-diwar
kha gai mujh ko ghar ki tanhai

zindagi ke safar mein ai 'arpit'
dekh li dar-ba-dar ki tanhai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close