ai jazb-e-dil wo din to mayassar khuda kare mere liye wo hath utha kar dua kare main jaan dun wafa se wo mujh par jafa kare marna to mera apne hi dar par rawa kare pamal shauq se dil-e-ashiq kiya kare ye bhi tamasha shokhi-e-rang-e-hina kare husn-e-butan mein shan-e-ilahi hai kya kahun baithe na but-kade mein fidai to kya kare is naznin se kah de ki ban jae nur-e-jaan aankhon mein aae kaba-e-dil mein raha kare haalat ko meri sun ke ajab naz se sanam kahta hai mujh ko gham nahin koi mera kare dekhe mere sanam ko to rohban-e-ishq bhi salle-ala kahe kabhi shukr-e-khuda kare kah dena un ke talib-e-didar se yahi mirat ke dil mein surat-e-hairat raha kare is aarzu ne mujh ko bulaya hai khak mein ta musht-e-khak ko mere wo naqsh-e-pa kare puchha tha main ne qais se ja kar ye dasht mein jis mein na hoe sabr-o-tahammul wo kya kare bola wo hans ke ji se guzarna hi khub hai is ibtida-e-ishq ki yun intiha kare fasl-e-bahaar aai hai mujh ko na rokiye jata hun ab to dasht mein kuchh bhi hua kare taswir-e-yar dil mein 'jamila' liye raho kabe mein ja ke aashiq-e-nashad kya kare