jism ki har baat hai aawargi ye mat kaho

jism ki har baat hai aawargi ye mat kaho
hum bhi kar sakte hain aisi shaeri ye mat kaho

us nazar ki us badan ki gungunahat to suno
ek si hoti hai har ek ragni ye mat kaho

hum se diwanon ke bin duniya sanwarti kis tarah
aql ke aage hai kya diwangi ye mat kaho

kat saki hain aaj tak sone ki zanjiren kahan
hum bhi ab aazad hain yaro abhi ye mat kaho

panw itne tez hain uthte nazar aate nahin
aaj thak kar rah gaya hai aadmi ye mat kaho

jitne wade kal the utne aaj bhi maujud hain
un ke wadon mein hui hai kuchh kami ye mat kaho

dil mein apne dard ki chhitki hui hai chandni
har taraf phaili hui hai tirgi ye mat kaho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close