mera KHwab-e-tamanna saat-e-bedar jaisa hai

mera khwab-e-tamanna saat-e-bedar jaisa hai
magar ek ek nafas chalti hui talwar jaisa hai

nazar apni nawah-e-rang se aage nahin badhti
pas-e-manzar yaqinan saya-e-diwar jaisa hai

dil-azari meri fitrat mein shamil hai na aadat mein
tumhein malum hi hoga mera kirdar jaisa hai

tamannai to hain lekin koi aage nahin badhta
meri shohrat ka hangama faraaz-e-dar jaisa hai

samundar aadmi ka kha gaya kitne safine ko
yahan jo shahr hai wo dosto manjdhaar jaisa hai

ye duniya milkiyat apni na wirsa hai buzurgon ka
yahan jo aadmi hai wo kirae-dar jaisa hai

talawwun ke siwa kuchh bhi nahin milta manazir mein
kisi mausam se miliye wo mizaj-e-yar jaisa hai

ye kyunkar munfarid hota hai ye uslub-e-ghazal tera
zamin ke rang jaisa chand ke rukhsar jaisa hai

milo jis se bhi wo sud-o-ziyan ki guftugu chhede
hamare ahd mein rishta bhi karobar jaisa hai

hazaron kaam hon padhiye magar column zarurat ka
mere bachche ka chehra subh ke akhbar jaisa hai

mubarak 'ramz' tujh ko khusraw-e-mulk-e-sukhan hona
hatheli mein jo chhaala hai wahi dinar jaisa hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close