jism ki sath pe tufan kiya jaega apne hone ka phir elan kiya jaega hum rahenge abhi is aaina-khane mein asir abhi kuchh din hamein hairan kiya jaega samne se koi bijli si guzar jaegi mere andar koi haijaan kiya jaega manzil-e-khak pe jaana hai isi shart ke sath ye safar be-sar-o-saman kiya jaega aa raha hoga wo daman se hawa bandhe hue aaj khushbu ko pareshan kiya jaega