kaam har roz ye hota hai kis aasani se us ne phir mujh ko sameta hai pareshani se mujh pe khulta hai teri yaad ka jab bab-e-tilism tang ho jata hun ehsas-e-farawani se aakhirash kaun hai jo ghurta rahta hai mujhe dekhta rahta hun aaine ko hairani se meri mitti mein koi aag si lag jati hai jo bhadakti hai tere chhidke hue pani se tha mujhe zom ki mushkil se bandhi hai meri zat main to khulta gaya us par badi aasani se