jism mein thodi jaan baqi hai aakhiri imtihan baqi hai khandani nishan baqi hai samne pan-dan baqi hai sab makin ho gae hain khuld-nashin ab to khali makan baqi hai kaisi kaisi azim thin qaumen jin ki ab dastan baqi hai tha wahan shah ka mahal shayad us gali par kaman baqi hai hum ne un ko yaqin dilaya tha phir bhi un ka guman baqi hai us ne phenke zaban ke khanjar aaj tak bhi nishan baqi hai zalzala ek aa gaya tha wahan sar pe ab aasman baqi hai mit gae the jo din-e-haq ke liye aaj tak un ki shan baqi hai din-e-haq ka payam zinda hai is zamin par quran baqi hai tukde tukde hue gareban ke phir bhi kyon khinch-tan baqi hai