sunaun kya tujhe ai dost majra dil ka bahut ajib raha hai moamla dil ka kabhi ye dil hai hamara kabhi kisi ka hai na jaane kaise badalta hai faisla dil ka bahut zahin bahut tez hai magar phir bhi dimagh kar nahin sakta muqabla dil ka kabhi kabhi jo hamein hans ke dekh lete ho badha rahe ho tum is tarah hausla dil ka karega mujh pe nichhawar wo rahmaten apni jo haal dekh raha hai mera khuda dil ka wahi junun wahi gham wahi tamannaen ilaj koi abhi tak na ho saka dil ka ye dhadkanen to muqaddar hain is ki ai 'jazib' tamam umr chalega ye silsila dil ka