jism-o-jaan par kisi jogi ka main saya dekhun ishq ki tal pe jogan ka thirakna dekhun apne chehre pe teri aankhon ka pahra dekhun pyas dariya ka samundar mein samana dekhun qatra qatra jo nasha ishq ka utra mujh mein rafta rafta teri sanson mein utarta dekhun pahle misra mein tujhe bandh liya hai main ne dusre misra mein ab khud ka basera dekhun abr ban barse mere khet se guzra hai abhi mausam-e-ab mein faslon ko jhulasta dekhun chashm ki jhil mein wo aks utar jae phir shab to aadhi ho magar chand ko pura dekhun aarzu mein teri bal khae chali jaun 'suman' jab kisi bel ko main ped se lipta dekhun