jism rota hai ruh gati hai ab teri yaad kyon satati hai ye tere zakhm yun nahin bharte tu musalsal jo chot khati hai be-sabab aankh us ki bharti hai wo bina baat muskuraati hai us se kah do ki 'ishq marham hai kaise chhune se chhatpatati hai zindagi raegan magar phir bhi sans ye hai ki chalti jati hai shukr mano ki ek 'adad ladki apna dukhda tumhein sunati hai yar radha hai shyam harjai tu 'abas tesue bahati hai