jism tuta hai jaan tuti hai umr bhar ki thakan tuti hai wo jo phaila tha kal dhuan ban kar aaj us ki uthan tuti hai aisa lagta hai shahr tut gaya sab se unchi dukan tuti hai koi dhoka tha kha liya us ne us ke hathon zaban tuti hai wo ba-zahir hai mutmain lekin us ke andar ki aan tuti hai raqs tari hai sare jangal par koi taza machan tuti hai