hamein pata bhi nahin kis ki wo kahani thi wo is qadar thi nai ki bahut purani thi kabhi jo dekh liya us ko dekhte hi rahe wo apne aap mein thahri hui rawani thi tumhaari yaad ka rakkha hai canwas warna hamare khwab ne surat nai banani thi tumhaare pas to qisse kahaniyan hain bahut kabhi jo hum ne kahi bhi nahin sunani thi ye rishte nate faqat bojh tha ki dhone the wafa bhi sochiye aise hi bas nibhani thi wahin pe khak se milna tha khak hona tha usi ke shahr mein shohrat agar kamani thi wo roz roz ka marna kamal tha lekin ye zindagi to meri jaan aazmani thi