jit aur haar ka imkan kahan dekhte hain ganw ke log hain nuqsan kahan dekhte hain jab se dekha hai tere chehre ko is shahar ke log! phul baghicha o gul-dan kahan dekhte hain qimti shai thi tera hijr uthae rakkha warna sailab mein saman kahan dekhte hain mujh ko aflak se hijrat ki sada aati hai, aadmi ishq mein zindan kahan dekhte hain 'amir' is takht mein tabut nazar aata hai dekhte hum hain ye darban kahan dekhte hain