pabandiyon se apni nikalte wo pa na the

pabandiyon se apni nikalte wo pa na the
sab raste khule the magar hum pe wa na the

ye aur baat shauq se hum ko suna gaya
phir bhi wahi sunaya suna ek fasana the

ek aag-saeban tha sar par tana hua
pal pal zamin sarakti thi aur hum rawana the

dariya mein rah ke koi na bhige to kis tarah
hum be-niyaz teri tarah ai khuda na the

hargiz gila nahin hai ki tu mehrban na tha
kab hum bhi apne aap se behad khafa na the

kyun sabr-ashna na hua na-murad dil
tere karam ke hath to yun be-ata na the

wo aur hum se puchhe ki 'bilqis' kuchh to kah
kam-bakht hum ki hosh hi apne baja na the


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close