jita hun jo mar mar ke ye jina to nahin hai duniya mere ehsas ki duniya to nahin hai kahne ko to hai dida-e-nargis mein bhi jadu har aankh mein taswir-e-tamanna to nahin hai ye husn ke jalwe ye fazaon ka tarannum ye sham-e-chaman sham-e-kalisa to nahin hai aaya hai dil-e-zar ko paigham-e-masarrat ye bhi gham-e-farda ka taqaza to nahin hai yun ruth ke jaane pe main khamosh hun lekin ye baat mere dil ko gawara to nahin hai har haal mein lazim hai mujhe pas-e-mohabbat ye sach hai magar dil ka bharosa to nahin hai bigde the wo jis baat pe mujh se sar-e-mahfil ai 'naqsh' dil us baat ko bhula to nahin hai