mahfil mein us pe raat jo tu mehrban na tha aisa subuk tha ghair ki kuchh bhi giran na tha wasl-e-butan mein khauf-e-firaq-e-butan na tha goya ki apne sar pe kabhi aasman na tha pesh-e-raqib pursish-e-dil tum ne khub ki dushman tha parda-dar na tha raaz-dan na tha ibrat dila chuki thi hamari sitam-kashi mutlaq shab-e-visal adu shadman na tha bigde hue raqib se wo aae mere ghar is husn-e-ittifaq ka koi guman na tha sargarm-e-nala kyun rahi bulbul bahaar mein kya hum na the asir ki zauq-e-fughan na tha sarshaar-e-be-khudi the 'asar' bazm-e-yar mein kya jaanen hum raqib kahan tha kahan na tha