jita rahun ki hijr mein mar jaun kya karun tu hi bata mujhe main kidhar jaun kya karun hai iztirab-e-dil se nipat arsa mujh pe tang aaj us talak ba-dida-e-tar jaun kya karun hairan hun ki kyunke ye qissa chuke mera sar rakh ke tegh hi pe guzar jaun kya karun batla de tu hi wa-shud-e-dil ka mujhe ilaj gulshan mein ai nasim-e-sahar jaun kya karun baitha rahun kahan talak us dar pe 'mushafi' ab aai sham hone ko ghar jaun kya karun