ho aajiz ki jism is qadar zor se na nikla kabhu uhda-e-mor se bahut dur koi raha hai magar ki fariyaad mein hai jaras shor se meri khak-e-tafta par ai abr-e-tar qasam hai tujhe tak baras zor se tere dil-jale ko rakha jis ghadi dhuan sa utha kuchh lab-e-gor se na puchho ki be-e'tibari se main hua us gali mein batar chor se nahin sujhta kuchh jo us bin hamein baghair us ke rahte hain hum kor se jo ho 'mir' bhi is gali mein saba bahut puchhiyo to meri or se