jite hain tere pyar ki KHairaat se faqir

jite hain tere pyar ki khairaat se faqir
baithe hain lau lagae teri zat se faqir

tishna-labi ne phir yahan dere laga liye
hain dil-girafta hijr ke lamhat se faqir

hain jaan-lewa zist ki ye talkhiyan magar
rote nahin hain tangi-e-haalat se faqir

surat bana ke kanch ki toda gaya kabhi
maghlub ho gae kabhi jazbaat se faqir

zulm-o-sitam ki intiha kije huzur aap
kundan banenge dard ki saughat se faqir

ummid ke charagh jalate hain baam par
darte nahin hawaon ke khadshat se faqir

furqat mein ek umr se jalte rahe magar
khush ho gae bas ek mulaqat se faqir

jam-o-subu-o-saghar-o-mina-o-mai-kada
rahte hain dur shahr-e-khurafat se faqir

wo log bhi 'fahim' bade ba-kamal hain
ladte hain subh-o-sham jo sadmat se faqir


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close