kab mere liye sham-o-sahar kaT raha hai

kab mere liye sham-o-sahar kat raha hai
wo apne sarabon ka safar kat raha hai

main us ke tasawwur se nikal aaya hun lekin
tanha hun mujhe mera hi ghar kat raha hai

main us ki mohabbat mein giraftar hua hun
panchhi ki tarah wo mere par kat raha hai

aaseb ki uljhi hui jad phail rahi hai
diwar ke sine ko shajar kat raha hai

aazad to rakkha hai mujhe ahl-e-qafas ne
ye kaun meri soch ke par kat raha hai

bahar koi masmum hawa dasne lagi hai
andar se mujhe dard-e-jigar kat raha hai

haalat ki maujon mein meri naw ghiri hai
pindar mera gahra bhanwar kat raha hai

ek main hi nahin ishq ke aazar mein tanha
us ko bhi mohabbat ka asar kat raha hai

duniya hai 'fahim' aaj mere azm pe hairan
yun waqt mujhe bar-e-digar kat raha hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close