jite ji maut ke tum munh mein na jaana hargiz

jite ji maut ke tum munh mein na jaana hargiz
dosto dil na lagana na lagana hargiz
ishq bhi tak mein baitha hai nazar-bazon ki
dekhna sher se aankhen na ladana hargiz
hath malne na hon piri mein agar hasrat se
to jawani mein na ye rog basana hargiz
jitne raste the tere ho gae viran ai ishq
aa ke viranon mein ab ghar na basana hargiz
kuch sab kar gae dilli se tere qadr-shanas
qadr yan rah ke ab apni na ganwana hargiz
tazkira dehli-e-marhum ka ai dost na chhed
na suna jaega hum se ye fasana hargiz
dhundta hai dil-e-shorida bahane mutrib
dard-angez ghazal koi na gana hargiz
sohbaten agli musawwir hamein yaad aaengi
koi dilchasp muraqqa na dikhana hargiz
le ke dagh aaega sine pe bahut ai sayyah
dekh is shahr ke khandaron mein na jaana hargiz
chappe chappe pe hain yan gauhar-e-yakta tah-e-khak
dafn hoga kahin itna na khazana hargiz
mit gae tere mitane ke nishan bhi ab to
ai falak is se ziyaada na mitana hargiz
wo to bhule the hamein hum bhi unhen bhul gae
aisa badla hai na badlega zamana hargiz
hum ko gar tu ne rulaya to rulaya ai charkh
hum pe ghairon ko to zalim na hansana hargiz
aakhiri daur mein bhi tujh ko qasam hai saqi
bhar ke ek jam na pyason ko pilana hargiz
bakht soe hain bahut jag ke ai daur-e-zaman
na abhi nind ke maton ko jagana hargiz
kabhi ai ilm o hunar ghar tha tumhaara dilli
hum ko bhule ho to ghar bhul na jaana hargiz
shairi mar chuki ab zinda na hogi yaro
yaad kar kar ke use ji na kudhana hargiz
'ghaalib' o 'shefta' o 'nayyar' o 'azurda' o 'zauq'
ab dikhaega ye shaklen na zamana hargiz
'momin' o 'alwi' o 'sahbai' o 'mamnun' ke baad
sher ka nam na lega koi dana hargiz
kar diya mar ke yaganon ne yagana hum ko
warna yan koi na tha hum mein yagana hargiz
'dagh' o 'majruh' ko sun lo ki phir is gulshan mein
na sunega koi bulbul ka tarana hargiz
raat aakhir hui aur bazm hui zer-o-zabar
ab na dekhoge kabhi lutf-e-shabana hargiz
bazm-e-matam to nahin bazm-e-sukhan hai 'haali'
yan munasib nahin ro ro ke rulana hargiz
Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close