jitne marka-e-dil wo lagatar gaya

jitne marka-e-dil wo lagatar gaya
jis ghadi fath ka ailan hua haar gaya

thak ke laut aae alam-dar-e-masawat aakhir
dur tak silsila-e-andak-o-bisyar gaya

jis ko sab sahal-talab jaan ke karte the gurez
ek wahi shakhs su-e-manzil-e-dushwar gaya

in dinon zehn ki duniya mein hai masruf bashar
dil ki tahzib gai dard ka bewhaar gaya

hum gunahgaron se ba-mani raha hashr ka din
warna ye sara hi mansuba tha bekar gaya

'saz' hai dil-zada ab bhi tere sheron ke tufail
hum to samjhe the ki ai mir ye aazar gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close