jitna tahzib-e-badan se main sanwarta jaun

jitna tahzib-e-badan se main sanwarta jaun
utna hi tut ke andar se bikharta jaun

zindagi jaise calendar pe badalti tarikh
main shab-o-roz ke manind guzarta jaun

kya pata khwabon ki tabir mile ya na mile
kisi kaghaz pe unhen note hi karta jaun

sehn-e-gulshan se wo ek aakhiri rishta bhi gaya
khushk patton ki tarah ab to bikharta jaun

tah-e-zulmat in aaankhon ke diye jalte jaen
zina zina main ujalon mein utarta jaun

gard-e-daman ki tarah mujh ko udane wale
aks ban kar teri aaankhon mein thaharta jaun

kitne ghabrae hue hain mere qatil 'mohsin'
aastinon pe lahu ban ke ubharta jaun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close