jitna tha sargarm-e-kar utna hi dil nakaam tha hosh jis ka nam hai wo bhi junun-e-kham tha hosh ka zamin tha saqi kaif-parwar dil ka shauq jam tha pas aur be-andesha-e-anjam tha khatm karti jald kyunkar zist ki manzil ko sans pher koson ka tha lekin fasla ek gam tha josh-e-shorida-sari tha ta-ba-wahm-e-ikhtiyar thak ke dam tuta to phir aaram hi aaram tha ab kahan wo aamad-o-raft-e-nafas ki shah-rah ek kashakash thi ki jis ka zindagani nam tha chaunk kar khud manzar-e-hasti se aankhen pher lin hichkiyan kahe ko thin poshida ek paigham tha gul hua aakhir bhadak kar shoala-e-josh-e-shabab thi kaf-e-mauj-e-hawadis aur charagh-e-sham tha be-jale kis tarah banta shama parwane ka dil wo use anjam kya dete jo mera kaam tha tum ne khud nakaam rakh ke us ki himmat ki thi past aarzu-e-be-gunah par muft ka ilzam tha