suni to us ne ghairon se hua go bad-guman hum se bahar-surat rahi behtar hamari dastan hum se zaban par aaegi kya pas namus-e-mohabbat se nahin dohrai jati dil mein apni dastan hum se chune the chaar tinke ek din sehn-e-gulistan mein raha ta-zindagi barham mizaj-e-baghban hum se duhai hai gham-e-majburi-e-imkan duhai hai ki phirti hain dam-e-rehlat hamari putliyan hum se subuk-sar rah chuke hain hum bhi duniya mein kabhi lekin ye zikr us waqt ka hai aap jab the sargiran hum se qafas hi ho gaya tul-e-asiri se nasheman jab na chhute aashiyan se hum na chhuta aashiyan hum se zamana dusri karwat badalta bhi to kya hota badal jati na uftad-e-zamin-o-asman hum se bahaar aane se pahle ek pareshan khwab dekha tha ki jaise fasl-e-gul mein chhut raha hai aashiyan hum se zamana saziyan qurban maal andeshiyan sadqe wo sunne aaj baithe hain hamari dastan hum se madad ai lazzat-e-zauq-e-asiri ab ye hasrat hai qafas wale badal lete hamara aashiyan hum se tasawwur mein khincha naqsha hai un ke ru-e-rangin ka ba-zahir parda-e-dil mein hain 'afqar' wo nihan hum se