jitne achchhe log hain wo mujh se wabasta rahe mere sare bol un ke lab se paiwasta rahe sab parinde la rahe hain aasmanon se khabar mere ghar aangan mein aa kar kab wo par-basta rahe wo tariq-e-khauf-o-dahshat par amal-paira sahi main ye kahta hun ki qatl-o-khun bhi shaista rahe bawajud-e-ham-nashini us se kuchh paya na faiz dil bhi aazurda raha haalat bhi khasta rahe kam se kam baqi rahe sab ke dilon mein rasm-o-rah ye munasib hai gharon ke darmiyan rasta rahe sarhad-e-imkan se aage thin yahi tarikiyan kya zaruri hai andhera har jagah dasta rahe umr-bhar karte rahe 'almas' milne se gurez kijiye tahqiq kyun wo raaz sar-basta rahe