harf-e-ghazal se rang-e-tamanna bhi chhin le main jal raha hun aatish-e-naghma bhi chhin le be-barg-o-bar ho gaya imroz ka shajar mujh se mata-e-gulshan-e-farda bhi chhin le mere junun ko hajat-e-diwar-o-dar nahin ghar se juda hua hun to saya bhi chhin le ab to nashat-e-did ka bhi silsila gaya yani dil-o-nigah ka rishta bhi chhin le chhina hai tu ne sham ke rukh se salona-pan ab shahr-e-arzu se ujala bhi chhin le baqi rahe na dast-e-tasarruf mein koi shai jo kuchh mujhe diya tha wo hissa bhi chhin le