jitne hain rang-e-chaman rang-e-hina ho jaenge tum hamein dekhoge aur hum aaina ho jaenge khak odhenge phirenge ku-ba-ku aur us ke baad hum teri furqat mein jaane kya se kya ho jaenge naqsh ban kar paniyon mein dubte hain jis tarah dekhna is tarah ek din hum fana ho jaenge maut ki aandhi chalegi aur phir mere charagh dekhte hi dekhte nazr-e-hawa ho jaenge apni khushbuen utarne do hamare jism mein phul ki surat khilenge hum saba ho jaenge wasl ki shab jagmagaegi dil aflak par chand aur suraj tumhaare naqsh-e-pa ho jaenge dekh lena tut kar shakh-e-shajar se ek din khushk patte aandhiyon ke ham-nawa ho jaenge ek din 'afroz' jitne bhi hain aahang-e-hayat gumbad-e-jaan mein wo sab hi be-sada ho jaenge