mahaul se jaise ki ghutan hone lagi hai be-kaifiyati uzw-e-badan hone lagi hai kuchh farq sa mahsus nahin sham-o-sahar mein uthne ke tasawwur se thakan hone lagi hai mafqud hui khunki-e-ehsas nazar se sabzon ko bhi dekhe se jalan hone lagi hai kuchh us se gila bhi hai kuchh apni bhi khataen yun us ke tasawwur se chubhan hone lagi hai hassas bhi imroz tabiat se zyaada aur tez bhi kuchh bu-e-saman hone lagi hai pahle bhi teri baat hi markaz thi sukhan ka ab yaad teri sarf-e-sukhan hone lagi hai ai 'taj' tere ek nasheman ke hasad mein aa dekh ki takhrib-e-chaman hone lagi hai